Saturday, May 3, 2014

Hazrat Ali (R.A) Sayings

Beautiful Golden Sayings by Hazrat Ali (R.A)


• " Alim Jahil Ka Haal Janta Hay Kyun K Wo Jahil Reh Chuka Hay,
Lekin Jahil Alim Ka Haal Nai Janta Kyun K Wo Alim Nai Raha "
Hazrat Imam Ali (A.S) 

• Mujhe Es Duniya Se Kya Lena!
Jis K " Hallal " Mein
Hisab
Or " Haram " Mein Azaab Hai. Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Apna Sar Ooncha Rkho k Tum Kisi Se Nhi Darty
Lekin Apni Nigahei'n Neechi Rkho
Ta k Pata Chaly k Tum Ek
Ba-IzzaT Ghraney Se Ta'aluq Rakhty Ho"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Khush-Ikhlaq Logon Se Khush-Ikhlaqi Se
Pesh Aana Kamal Nahi.
Magar Baad-Ikhlaq Logon Se
Khush-Ikhlaqi Se Paish Aana Kamal Hai"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Mushkil Tareen Kaam Behtareen Logon K
Hissay Mein Aaty hain, Kyun K
Wo Usay Hall Karny Ki Salahiyat Rakhty Hyn"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Ache logo'n ki sohbat se bhalai haath aati hy,
Jese hawa jab khushbudar cheez k paas se
guzrey tou khushbudar ho jati hai..."
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Nadan Log Dulat K Liye Dil Ka Chain Luta Dyte Hain
Or Danish'Mand Dil K Chain K Liye Dulat Luta Dyte Hain"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Aye Suraj Gawah Rehna K Hamesha''ALI'' ny
tujhy Ubhartay dekha hay Magar
Tu Ny ''ALI''KO kabhi Sotay Nahi Paya"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Azeem Hyn Wo Log Jo Shahadat Ka Intikhab Kerty Hyn
Lekin In Se Bhi AZEEM Wo Log Hyn
Jin Ka Intikhab Khud Shahadat Kerti Hy"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Momin" Ki Misal Tarazu Kay Palrey Jaisi Hai.
Jis Qadar Us k Emaan Ma Izaafa Hota Hai
Utni Hi Uski Aazmaish Barhti Hai.." Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Insaan Ka Nuqsaan Maal Aur Jaan Ka Chalay Jana Nahi,
Insan Ka Sab Se Bara Nuqsaan Kisi Ki Nazar Se Gir Jana Hai."
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Zindgi ko ZARORIAT mein rakho Khwaishat ki taraf na le jao,
Zaroriat Faqiro'n ki b PURI hoti hyn Aur
Khwahishat Badshaho'n ki b BAQI reh jati hyn"
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Soorat" aur "Seerat"
mein sab se bara farq ye hy k
Soorat "Dhoka" deti hy Jab k
Seerat "Pehchan" karati hy...!
Hazrat Imam Ali (A.S)

• "Sardio'n Ka Mausam Momin K Liye Bahaar Hy
Is ki Lambi Raatei'n Ibadat k Liye Kafi Hyn
Aur Chotey Din, Rozay K Liye Saazgar Hyn..."
Hazrat Imam Ali (A.S)

No comments:

Indian Supreme Court's Controversial Decisions

A utumn announced itself in Ayudhya case on Saturday. The sun was at full swing and Supreme court was busy in giving landmark controversial...