Showing posts with label SMS. Show all posts
Showing posts with label SMS. Show all posts

Tuesday, May 30, 2017

Best Poetry Collection of May 2017


Yeh shart-e-mohabbat bhi ajjab hai..

Yeh shart-e-mohabbatbhi ajjab hai,
Pura utroon to wo meyaarbadaldeta hai..

Jo karta hai barre pyaar ki batain..

Zaahir main jo karta haibarrepyaar ki batain,
Andar se wohishakhsshamara nahin hota..

Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko..

Poochte Hain Kya Hua Hai Dil Ko,
Husn Walon Ki Saadgi Nahi Gayii…!!

Kuch log dhoka kha rahe hain..

Tuajub hai ke ishq_o_ashqi se,
Abhi kuch log dhoka kha rahe hain…

Har bat pe ranjishen, har bat pe hisab..

Har bat pe ranjishen, har bat pe hisab,
Goyaa maineishqnahi, nokri kar li..

Dhoond ujrrey huye logon mein wafaa ke moti..

Dhoond ujrrey huye logon mein wafaa kemoti,
Yeh khazaaney tuje mumkin hai kharabon mein milain..

Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ka khawab

Pehle dikha raha tha mujhe manzilon ka khawab,
Phirmere saamne woh rasta chala gaya..

Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main

Heraan Hoon Kay Muddat-e-Qaleel Main Mohsin,
Wo Shakhas Meri Souch Say Zayada Badal Gaya..

Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..

Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar Chalte,
Main Ne Mohabaat Main Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..!!

Wo Shakhs To Mujh Ko Mera Bhi Hony Nahi Deta..

Dekhay Ga Kisi Aur Ke Hamrah Wo Mujhy Kya,
Wo Shakhs To Mujh Ko Mera Bhi Hony Nahi Deta.

Tath mein pathar thamaa diye..

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,
Phir sheher bharke hath mein pathar thamaa diye..

Yaaron ki tabiyat se shanasaa hoon..

Apne yaaron kitabiyat se shanasaa hoon Raheel,
Ab taluq pe mujhe waar diya jaye ga..

Us Shakhs Se Mil Kar Ehsaas Hua Hai

Us Shakhs Se Mil Kar Mujhe Ehsaas Hua Hai,
Jo Pairr* Bare Hote Hain Saya Nahin Karte..
*Tree

Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos

Ab Bhi Baaki Hai Tumhare Dil Mein Thora Sa Khuloos,
Is Se Pehle Bhi Humain Yehi Dhoka Hua..

Hoslay hi Jawab Dainay lagay

Hoslay hi Jawab Dainay lagay,
Is Qadar Us nay Aazmaya Mujhy ….!!!!

Tarteeb-E-Sitam Ka Bhi Saleeqa Tha Usay..

Tarteeb-E-SitamKa Bhi Saleeqa Tha Usay,
Pehle Pagal Kiya Aur Phir Mujhe Pathar Maaray…

Saturday, May 3, 2014

Ghazal


Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain, Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain, Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain, Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain, Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain, Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain, Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain, Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain, Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain, Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain
•••••••R A H E E L  K H A N



Mujhe Tum Yaad Aaty Ho (Ghazal)


Humain ab kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,
Kissi ka ho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,
Samandar tha to zor-o-shor se lehrein bahaata tha,
Ab qatra qatra ho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,
Beyaan karte jo hal-e-dil to yunhi muskuraa deta,
Ab wohi ro ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho,
Na pooch tu us ki badnaseebi ka aalam,
Ke sab kuch kho ke kehta hai mujhe tum yaad atey ho..

By
•••••••R A H E E L  K H A N


Mohabbat Mein (Ghazal)


Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon, Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon, Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon, Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon, Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon, Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

By
•••••••R A H E E L  K H A N


Aisa Nahi Hota


Jo hua ik bar woh har baar ho, aesa nahin hota,
Hamesha aik hi se pyaar ho, aesa nahin hota,
Har ik kashti ka apna hi tajarba hota hai darya mein,
Saffar main roz hi manjhdaar ho, aesa nahin hota,
Kahani main to kirdaaron ko jo chahe bana dijiye,
Haqeeqat bhi kahaani kaar ho, aesa nahin hota,
Kahin to koi hoga jis ko apni bhi zaroorat ho,
Har ik baazi mein dil ki haar ho, aesa nahi hota,
Sikhaa deti hain chalna thokrain bhi raahgiron ko,
Koi raasta sadaa dushwaar ho, aesa nahin hota..

By
•••••••R A H E E L  K H A N 

Indian Supreme Court's Controversial Decisions

A utumn announced itself in Ayudhya case on Saturday. The sun was at full swing and Supreme court was busy in giving landmark controversial...