Thursday, September 24, 2015

Urdu Ghazals

Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa k


Nazar Main Zakhm-e-Tabbasum Chupa Chupa k mila



Khafa To Tha Wo Magar Mujhse Muskura k Mila



Wo Humsafar K Mere Tanz Pe Hansta Tha Bohat



Sitam Zareef Muje Aaina Dikha Ke Mila



Mere Mizaj pe Hairan Hai Zindagi Ka Shaoor



Main Apni Moat Ko Aksar Gale Laga K Mila



Main Us Se Mangta Kia Khoon Baha Jawani Ka



K Wo Bhi Aaj Muje Apna Ghar Luta k mila



Main jisko Dhoond Raha Tha Nazar Ke Raste Main



Mujhe Mila Bhi Tou Zalim Nazar Jhuka K Mila



Main Zakham-e-Zakham Badan Le K Chal Dia



Wo Jab Bhi Apni qabar Per Kanwal Saja K mila 






Aik bay rang sa manzar hai kah


Aik bay rang sa manzar hai kahan tak sochon



zindagi main terey baray main kahan tak sochon



Phenknay walay nay tu door say pathar phenkay



aur main sirf paroosi k makaan tak sochon



Tera chehra bhi na yaad aye k tu kaisa hai



main tujhay sooch k reh jaaon yahan tak sochon



Loog jis mor per ghabra k bechar jaatay hain



tujh say milnay ka yaqeen ho tu wahan tak sochon 






Aik dia dil main jalana bhi, b


aik dia dil main jalana bhi, bujha bhi daina,

Yaad KaRNa bhi usey roo, bhula bhi daina,


Kia kahon yeh meri chahat hai k nafrat is ki,

Naam likhna bhi maira, likh k mita bhi daina,


Phir na milnay ko bicharta hon tuj say laikin,

Murr k daikhon to palatnay ki dua bhi KaRNa,


Khat bhi likhna usay, mayoos bhi rahna us say,

Jurm KaRNa bhi magar khud ko saza bhi daina,


Mujh ko rasmon ka takalluf bhi gawara laikin,

Jee main ayai to yeh diwar gira bhi daina,


Soorat-e-naqsh-e-qadatm, dasht main rehna,

Apnay honay say na honay ka pata bhi daina 





kitni mushkil se kati kal ki m


kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch

dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch


wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi

kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch


waqat jo badley to insaan badal jaatey hain

kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch


wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui

kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch


Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay

Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch


ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi

kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch 





Kaisay kahoon k apna bana lou 


Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey

bahoun mein apni sama lou mujhey


Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin

Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey


Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey

Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey


Meri sab say gehri khuwahish hou puri

Tum agar pass apnay bula lou mujhey


Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai

Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey


Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani

Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey 





Yaad nahi kya kya dekha tha sa


Yaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gaye

us ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gaye
khub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gaye
shish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gaye
tujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahi
hum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gaye
mujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye “nazeer”
meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye 






Teri khushbu ka pata karti 




teri khushbu ka pata karti hai



mujh pe ehsan hawa karti hai





shab ki tanhai main ab to aksar



guftagu tujh se raha karti hai





dil ko us rah pe chalna hi nahin



jo mujhe tujh se juda karti hai





zindagi meri thi lekin ab to



tere kahne main raha karti hai





us ne dekha hi nahin WaRNa ye ankh



dil ka ehwal kaha karti hai





beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht



ret par nam likha karti hai





sham parte hi kisi shakhs ki yad



kucha-e-jan main sada karti hai





mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk



hal jo tera ana??? karti hai





dukh hua karta hai kuch aur bayan



bat kuch aur hua karti hai





abr barse to inayat us ki



shakh to sirf dua karti hai





masla jab bhi utha chiragon ka



faisala sirf hawa karti hai







Aankhain khuli rahain gi to




Aankhain khuli rahain gi toh manzar bhi ayen gay



Zinda hai dil toh aur sitamgar bhi ayen gay





Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal



Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayen gay





Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh



Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayen gay





Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukaan main



Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayen gay







Kaise kahain k jaan se pyar




Kaise kahain k jaan se pyara nahi raha



Ye aur baat ab woh hamara nahi raha



Ansoo tere b khushk hoye aur mere b



Nam ab kisi nadi ka kinara nahi raha



Kuch din tumhare laot k ane ki aas thi



Ab us umeed ka b sahara nahi raha



Reste Meh-o-Najoom k tabdeel hogye



In khidkiyon main aik b tara nahi raha



Samjhe the dosron se bohat mukhtlaf tujhe



Kya maan lain k tu b hamara nahi raha



Hathon pe bujh gai ha muqaddar ki kehkshan



Ya rakh ho gya woh sitara nahi raha



Tum aitbar is k lye kyon udas ho



Ik shakhs jo kabi b tumhara nahi raha







To kya ye tay hai k ab umr bha


To kya ye tay hai k ab umr bhar nahi milna..

To phir ye umar bhi kyon, tum se gar nahi milna..!
Chalo zamane ki khaatir ye jabr b seh len
K ab kabhi jo milay,toot kar nahi milna..
Ye kon chupke se tanhaiyon main kehta hai
mere baghair sakoon umr bhar nahi milna..
Rah-e-wafa k musafir ko kon samjhaaye
kay is safar mein koi humsafar nahi milna..
Juda to jab bhi hue dil ko yun laga jaise
k ab gaye to kabhi loat kar nahi milna..!! 

No comments:

Indian Supreme Court's Controversial Decisions

A utumn announced itself in Ayudhya case on Saturday. The sun was at full swing and Supreme court was busy in giving landmark controversial...