Thursday, September 24, 2015

Urdu Ghazal

(1) "Ek Shart Pay Khelon Gi Piya P

"Ek Shart Pay Khelon Gi Piya Pyar Ki Baazi !!!
Jeeton To Tujhay Paon Haroon To Piya Teri ♥

Her Lehza Khayal Rakhon Gi Srif Itna!!!
Beth Jaon To Bhi Teri Aur Uth JAon To Bhi Teri ♥
Kuch Kar Loon Haal Apna Aisa Humsafar !!
Aankh Lagay To Bhi Teri Aankh Khulay To Bhi Teri ♥
Teri Har Aahat Pay Paa Loon Gi Tabeer Aisi !!
Hans Jaon To Bhi Teri Rooth Jaon To Bhi Teri ♥
MAy Saath Doon Tera Kuch Aisay JAan-E-jahan ♥
Zinda Rahoon To Bhi Teri Mar Jaon To Bhi Teri..!!!! 



(2) "Suno Logo"Meri Aankhain khree

"Suno Logo"

Meri Aankhain khreedo gay?

Bohat majbur halat main Mujhe Nelaam KARNI hain

Koi Mujse Naqad lay lay

Main Thoray Daam lay loon ga

Jo day day pehli boli to 
Ussi K Naam kar doon ga

Mujhay Bazaar Walay keh rahay hain Kam_aqqal Tajir
Suno Logo!
Main Nahi hon Hirs ka Khwahaan,

Nafa Nuqsan ki Shatranj Nahi main Khailnay aaya

Koi Mujh ko Kahay naa Manchala sa
be_Hunr Tajir,

Bata paoun Tumhain kaise K Kis Tashveesh main hon main

Suno Logo

Barri Mehboob hain Mujh ko Ye Meri Neem Tar Aankhen

Magr Ab Baich'ta hon k

"Mujhe Ik Khwab ka Tawaan BhaRNa hai"
INHEN NELAAM KRNA HAI. 



(3) Ankhon Me Sama Jatay Ya Dil Me

Ankhon Me Sama Jatay Ya Dil Me Utr Jate

Dono Ka Bhala Hota Dono Hi Sanwar Jatay

Miltay To Ye Acha Tha Jeevan Ki Musafat Me

Kuch Faaslay Km Hotay Kuch Roz Guzar Jatay

Doori B Ghaneemat Hai Ek Aas To Hai WaRNa

Jo Aas Pe Jeete Hain Wo Log Bikhar Jatay

Kuch Roz Judai K Es Haal Me B Guzray 

Hanste Huay Ro Daite Rotay Huay Gir Jatay

Manzil Na Thikana Hai Acha Hai Nahi Kuch B

Ruktay To Kahan Ruktay Jatay To Kahan Jatay. . . 



(4) {"GHAZAL"}Mudat hoi k chehra-

{"GHAZAL"}

Mudat hoi k chehra- e- yar nahi dakha,

wo ankhen nahi dekhi wo rukhsar nahi dekha,

Raat k in haseen lamhon main jab tu yad aata hai,

Yehi sochta hon akeley main k wo dildaar nahi dekha,

Bohot pur sukoon tha safar, jab sath thay hum donu,

Her zuban se suna hum ne k in jesa pyar nahi dekha,

Kya hua k achanik tum itne badal gye "SAGHAR"

K hum ne kabhi pehly tum main is tarha inkaar nahi dekha...!!!



(5) Bewafa se hath milane k wasty

Bewafa se hath milane k wasty

Mehfil me sb se hath milana para muje

Zindagi guzar rhi thi bare sakoon k sath

Phr se apne dil ko smjhana para muje

Dil ne magr is pe hangama bht kia

Dil k hathon ye b zakhm khana para muje

Us ki yad dil se bhulane k wasty

Na chahte hue b makhane jana para muje

Muhbt me judai ko mera naseeb kr gya

Phr b apne dil me use bsana para muje

Bara naz tha uski wafa pr muje

Jis k hathon pyar ka faraib khana para muje...!!!



(6) Ek muddat tak main uski zarora

Ek muddat tak main uski zarorat bana raha,

Phir yun hoa k uski zarorat badal gai,

Chalta raha sath mery wo bohat der tak,

Phir yun hoa k uski manzil badal gai,

Wo aksar kehta tha aadat he meri toot kar payar KaRNa,

Phir yun hoa k ek din uski aadat badal gai,

Us ny khwabo me tameer kia tha ek taaj mehal,

Phir yun hoa k us k khwabo ki tabeer badal gai,

Yad aya wo aaj bohat shiddat sy ""
FARAZ..
Phir yun hoa k meri zindagi ki sham dhal gai...!!



(7) Aana meri qabar par do phool

Aana meri qabar par do phool charha jana ..
Rona na aaye muskura ke chale jana ..
Meri qabar par ek baar zrur aana ..
Magar shart hai aansoo na bahana ..
Taklif ho gi rooh ko bhi jo aansoo jo apke nikaleinge.
Rooh roye gi meri rooh ko na tarpaya KaRNa ..
Tere khuwabn mein aya karunga zrur ..
Kabhi yaad karke meri muhabbat ko azmaya KaRNa ..
Meri qabar pe phool na charhana aansoovon ke ..
Bas aakar qabar pe apni muhabbat ka saya KaRNa ..
Meri dua hai tera tera ghar khushboo se bhara rahe ..
Tum khushi ki har mehfil mein jaya KaRNa ..
Meri yaad mein na khona kabhi udaas hokar ..
Apne humsafar ki aghosh mein.



(8) =*GAZAL*= (BHOOL JA)Yehi Zi

=*GAZAL*=
(BHOOL JA)


Yehi Zindagi ka ussol hai,

jo bichar gaya ussy Bhool ja,

jo mila hai Dil se laga k rakh,

jo nahi mila ussy Bhool ja,

na wo Dhoop tha na wo Chandni,

na Chirag tha 
na wo Roshni,

wo Khayal tha koi Khuwab tha,

wo tha Aaina ussy Bhool ja,

wo jo tery Dil k Qareeb tha,

wo na jany kiska NASEEB tha,

tujhe Hans k usny Bhula dia,

tu bhi Muskura kar ussy
*=BHOOL JA=* 



(9) " GHAZAL"."Sari Raat Ki Jagi A

" GHAZAL"
.
"Sari Raat Ki Jagi Aankhain...

College Main Kya Parrhti Hon Gee"

yonhi khoy dil hi dil me

jany kya kya krti hongi

sari rat ki jagi ankhen..

Koi bulay,kan na dhaRNa

koi hilay, ik dam DRNA

koi dikhay,inka bha

apne ap se lrti hongi

sari rat ki jagi ankhen..

Apni kitaben bhrte rehna

Uski baten krte rehna

uski yaden garhte rehna

jeety jeety Marti hongi

sari raat ki jagi ankhen

college me kya prhti hongi? 



(10) Hazaron Phool aise thy Agr khl

Hazaron Phool aise thy Agr khlty to acha tha,

Tmhi ko hm ny chaha tha,

Tmhi milty to acha tha,

Koi a kr hmain poochey tmhain kese bhulaya hy,

Tmhary khat ko ashkon se
shab-e-Gham m jlaya hy,

Hzaron zkhm aisy hain agr silty to acha tha,

Tmhi ko hm ny chaha tha,

Tmhi milty to Acha tha tumhein ko hum ne chaha tha,

Tmhi milty to acha tha,

Mila hy Lutf hm ko b hasen yadon k jil mil mein,

Kati hy zindgi tm bin mgr itni C he dil main,

Tmhi ko Hm ny chaha tha tumhi milty to acha tha.....

No comments:

Indian Supreme Court's Controversial Decisions

A utumn announced itself in Ayudhya case on Saturday. The sun was at full swing and Supreme court was busy in giving landmark controversial...