Thursday, September 24, 2015

New Urdu Ghazals


Huwa jo kuch, bhulana chahiye 


Huwa jo kuch, bhulana chahiye tha
Usey ab laut aana chahiye tha

Yeh sara bojh mere sar pe quon hay?
Usey bhi gham uthana chahiye tha

Quon chup chap hi taa'luq tor diya?
Usey pehle batana chahiye tha

Usi ki yaad ki khushbu hay dil mein
Mujhe jis ko bhulana chahiye tha

Zara ghalti pe mujhse rooth betha
Usey kya bas bahana chahiye tha

Mujhe paa kar usey kya chain milta?
Jisey sara zamana chahiye tha 



Chaand ki simt nazar jaye tou 

Chaand ki simt nazar jaye tou kiya hota hay?
Raat kisi ki yaad mein guzar jaye tou kiya hota hay?

Kitni masoom ada se wo mujhe pochta hay
Jab doi dil mein utar jaye to kiya hota hay?

Mere mola tu faqat itna bata de usko
Aadmi jeete ji mar jaye tou kiya hota hay?

Koi anjan sa shakhs ka kisi pichle pehar
Aks aankhon mein thehr haye tou kiya hota hay?

Dard de k mujhe woh hansta raha or boli
Dard jab had se guzar jaye to kiya hota hay 



Waqt bhi rehta mere Sath


*. . .Waqt bhi rehta mere Sath agar tum kehte.

Han badal jate ye Jazbat agar tum kehte.

Me ne to Chaha tha phir Piyar ka Sooraj Chamke,

Zindagi me hoti na youn Raat agar tum kehte.

Manzil mushkil to na thi apni Guzar hi jati,

Rehta hathon me Tera hath agar tum kehte.

Tum ne Q chor diya hum ko Mohabbat kar k,

Log youn karte na phir Bat agar tum kehte

Bheegi palkon ka Taqaza he Use ye keh do

Ruk bhi sakti thi ye Barsat agar tum kehte. . .*


Jab kaanch uthane parh jayen



Jab kaanch uthane parh jayen tum haath hamara le jana,

Jab khud ko tanha pao tou tum saath hamara le jana,



Jab samjho jeet muqaddar hai aur raste hain dushwar bohat,

Na chahte b tum keh dena be-baak sahara le jana,



Jo bazi ab tum jeetogay jo manzil ab tum paogay phir chaho to ye keh dena,

k manzil thi maqsood muje Kab saath hamara choota hai ek muskurahat de jana,



Tm jaan hamari le jana jab kaanch uthane parh jayen,

Tum haath humara le jana...






Ujrey hoyen logon se gorezan na howa kar

Ujrey hoyen logon se gorezan na howa kar
Halat ki qabron ke ye kathbe b parha kar

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kardey
Tanhai ke lamhon main kabi ro b liy akar

Aye dil tujhe doshman ki pehchaan kahan hai
tu halqaye yara mai b mohtaat raha kar

Pas aao ik iltja sun lo

Pas aao ik iltja sun lo,
Pyar h tm sy be-panah sun lo,
ek tm ko khuda sy manga h,
jb b mangi koi dua sun lo,
Ibtda ishq ki hui tm sy,
Tm ho chaht ki intha sun lo,
bin tery g ni skun gi men,
Laot aao meri ye sda sun lo,
Dekh lo zindgki adhuri hy,
Na rho or ab juda sun lo,
tm sirf tm ho zindgi meri,
sch h sch h bakhuda sun lo,
Raz koi nhi mera apna,
Tm rho gy mery sda sun lo,

Yeh Kon Mere Dl Me Kehta Hey K Mein houn...

Yeh Kon Mere Dl Me Kehta Hey K Mein Houn,

Mehsus Kron Usko To Lagta Hey K Mein Houn.

Kion Khelta Rehta Hey Na Jane Koi Dil Se,

Nadan K Hathon Me Khlona Hey K Mein Houn.

Woh Rng Woh Khshbo Ab Mujh Me Kahan Hey,

Yeh Shakh Se Tuta Ghncha Hey K Mein Houn. 

  
Kbi Dard-E-Dil Ki Ilteja Bn Ja

Kbi Dard-E-Dil Ki Ilteja Bn Jaty Ho

Kbi Labon Pe A K Dua Bn Jaty Ho

Kbi Sataty Ho Tum Rat Bhar Yad Bn K

Kbi Pas Aa K Sarapa-e-Wafa Bn Jaty Ho

Kbi Rehty Ho Tum Meri Roh Mein Shamil

Kbi Dor Ja K Saza Bn Jaty 
Ho

Kbi Hathon Ki Lakiron Mein Nazar Aaty Ho

Kbi Dasht-E-Tanhayi
Ki Sada Bn Jaty Ho. .*


tUm MErE KaUn Ho.


*. .tUm MErE KaUn Ho. .*



Tum Meri Kaun Ho? Tm Se Hai Ye TaLuQ Kaisa?


Tm Kisi Dhund Mein Lipat'thi Hui Tanhai Ho,




Meri Shorat Ho, Meri Dua Ho, Meri Ruswayi Ho,




Baat Krti Ho Kbi Chup Mein Bikhar Jati Ho,



Kyun Meri Rooh Ke Goshon Pay Sitam Dhati Ho,



Tm Meri Kaun Ho? Tum Se Hai TaLuQ Kaisa?



Gungunati Ho To Mehsoos Ye Hota Hai Muje,



Jaise Dariya'on Ke SahiL Se Sada Aati Hai,



Door Jata Hon To Daman Se Lipat Jaati Ho,




Paas Aata Hon To Khuwabon Mein Utar Jaati Ho,




Tm Mere Paas Ho Na Door Ho Mere DiL Se,




Tm Meri Kaun Ho? Tm se Hai Ye TaLuQ Kaisa....?

No comments:

Indian Supreme Court's Controversial Decisions

A utumn announced itself in Ayudhya case on Saturday. The sun was at full swing and Supreme court was busy in giving landmark controversial...